Akhri bar Miloo !!
Page 1 of 1•
Akhri bar Miloo !!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Akhri bar milo aisay ke jaltay huwe dil
Rakh ho jain koi aur taqaza na karain
Chaak-e-wada na silay,
Zakhm-e-tamanna na khulay
Saans hamwar rahay,
Shamah ki lou tuk na hile
Ab nahin Jana junoon ka___na hukayat ka waqt
Ab na tajdeed-e-wafa ka___ na shikayat ka waqt
Lut gaye shehr-e-hawadis main matah-e-alfaaz
Ab jo kehna hai to kese koi noha kehyey
Aaj tak tum say rag-e-jaan ke kaiee rishtay thay
Kal say jo ho ga usay kaun sa rishta kehyey
Phir na daikhain aarz-o-rukhsaar milo
Matami hai dam-e-rukhsat, dar o dewaar milo
Phir na hum hoon, na iqraar na inkaar milo
Akhri baar milo,
Akhri baar milo!!!!!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~















: :
: :