___Nadamaat___
Page 1 of 1•
___Nadamaat___
Apne maazi ke tasawwur se haraasaan hoon main
Apne guzre hue ayyam se nafrat hai mujhe
Apni bekaar tamannaa’on pe sharminda hoon
Apni be-sood ummeedon pe nadaamat hai mujhe...
Mere maazi ko andhere main dabaa rehne do
Mera maazi meri zillat ke siwaa kuch bhi nahi
Meri ummeedon ka haasil, meri kaawish ka silaa
Ek be-naam azzi’yyat ke siwa kuch bhi nahi...
Kitni bekaar ummeedon ka sahaara le kar
Main ne aiwaan sajaaye thai kisi ki khaatir
Kitni be-rabt tamannaa’on ke mubaham khaakay
Apne khuaabon main basaaye thai kisi ki khaatir...
Mujh se ab meri mohabbat ke fasaanay na kaho
Mujh ko kehno do ke main ne unhain chaaha hee nahi
Aur woh mast nigaahen jo mujhe bhool gayeen
Main ne unn mast nigaahon ko saraaha hee nahi...
Mujh ko kehne do main aaj bhi jee sakta hoon
Ishq naakaam sahi, zindagi naakaam nahi
Unn ko apnaanay ki khuaahish, unhain paanay ki talab
Shauq-e-bekaar sahi, sayee-e-gham anjaam nahi...
Wohi gaisu, wohi nazrain, wohi aariz, wohi jism
Main jo chaahoon to mujhe aur bhi mil saktay hain
Woh kanwal jinn ko kabhi unn ke liye khilnaa thaa
Unn ki nazron se bohot dour bhi khil saktay hain...

u ke buss ka roog nahin